शुक्रवार, 9 जुलाई 2021

एक ही पेड़ पर 121 पर प्रकार के आम

utter pradesh ke saharanpur jile me ek 15 saal purane aam ke ek ped per 121 prakar ke phal ugane ke baad yaha akarshad ka kendra ban gaya | jile ke company bagg chhetra me ugane wala yah anokha ped bagwano dwara 5 saal pahle ekprayog kiya gaya tha | jiske utpad ka uddesya aam ki nayi kisme vikshit karna aur unke swad ke sath prayog karna hai saharanpur sthit bagwani aur adhyayan kendra ke sah nirdeshak bhanu prakash ram ne kaha prayog ka uddesya naye prakar ke aamo ki samiksha karna tha saharanpur pahle se hi aamka no.1 utpadak hai | is fruit belt aam ki bagwani vyapak rupe se humesha ki jati rahi hai isi vajah se yaha naye prakar ke aamo per shodh hua hai | bagwani ka prayog evam prashikshan kendra ke tatkalin sanyukt nirdeshak rajesh prashad ne ek ek aam ke pedh per aam ki 121 kisme lagai | ek sthaniya adhikari ne kaha swadehi aam ke ped ki shakhayao per aam ki vibhinn kismo ko lagaya gaya ped ki dekhbhal ke liye alag se nursuri prabhari niyukt kiya gaya tha ab is ped per ,dusuhari ,langda ,chausa, ramkela, amrapali, saharanpr arun sahit vibhinn prakar ke aam paye jate hai | inke alawa is ped per lukhnow safedi ,tomy at kings ,pusa surya , sensation, rataul , kalmi malda mango , bambay ,smith ,mangifera jaloniya, gola bulandsaher, laranku, l r special, alampur benisha aur asojiya devband sahit aam ki anya kisme bhi ug rahi hai | shodh kartao ka kahna hai nayi prajatiya per kaam jari hai taki aam ki behtar kismo ka utpadan kiya ja sake

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

पिरामिड की तरह दिखने वाली दुनिया की विचित्र गोभी

duniya ki vichitra gobhi per scientist ne nayi research ki ha yah gobhi itni vichitra kyo dikhti hai vaigyaniko ne iski vajah batai hai ise ...