सोमवार, 19 जुलाई 2021

पिरामिड की तरह दिखने वाली दुनिया की विचित्र गोभी

duniya ki vichitra gobhi per scientist ne nayi research ki ha yah gobhi itni vichitra kyo dikhti hai vaigyaniko ne iski vajah batai hai ise aam bhasa me romnesko cowliflower aur romnesko brakli bhi kaha jata hai yah selective briding ka behtarin udaharan hai iski banawat per french national senctre for scientific research ke vaigyaniko ne adhyayan kiya hai shodhkarta ka kahna hai is gobhi ke vichitra dikhne ki vajah iska phool hai gobhi me maujud danedar phool derasal bade phool me tabdil hona chahte hai lekin aisa ho nhi pata hai iska nichla hissa tane me tabdil ho jata hai aur upri hissa kali bankar rah jati hai aisa itni baar hota hai ki ek kali ke uper dusri kali chadti jati hai is tarah ye piramid jaise dikhne lagte hai is gobhi ki piramid jaisi akriti ka pata lagana isliye jaruri tha kyoki isme kisi tarah ki bimari ho to use sudhara ja sake aesi akriti ka pata lagane ke liye gobhi ke alag alag phool ka 3d model taiyar kiya taki ise behtar tarike se samajh ja sake yah gobhi ek phool ki tarah apni pahchan ki koshis karti hai samanya gobhi aur romnesko ke phool me bhi antar hai samanya gobhi ke phool apas me kafi sate rahte hai jabki romnesko kowliflower phoolo ki sankhya saman gobhi ke muqable jyada hoti hai inke alag dikhne ki ek vajah yah bhi hai iske phool piramid jaise hote hai jabki dusri gobhi aur brawkli me goal hote hai

सोमवार, 12 जुलाई 2021

बौनी गाय -बनाने जा रही वर्ल्ड रिकॉर्ड

23 mahine ki hai ye dhaka se 30 kilometre (19 mil) dakchid - paschim me charigram ke khet me rani ko ghas charte hue dekha ja sakta hai rani ek 23 mahine ki bauni gaye hai jiski tasvir social media platform per viral ho rahi hai itna hi nhi log ise dekhne ke liye dur dur se aa rhe hai rani 26 inch ( 66 sentmeter) lambi hai aur unka wajan kewal 57 pound (26 kilogram) hai lekin maliko ka kahna hai ki yah ginij world record me sabse chhoti gaye se chaar inch chhoti hai rani ka naap liya aur dersako ko dikhlaya ki wah bhartiya rajya keral me ek gaye madikyam se chhoti hai jiske pass vartmaan me vishwa record hai ginij world rocords ne kaha ki vechur ki madikyam gaye june 2014 me 61 sentimeter unchi thi

जामबी के डरावने हाथ जैसा दिखता है ये फंगस

fangus ka durlabh aur luptpraye rup jo ungli ke aakar ka dikhai deta hai ke liye jana jata hai iski khoj victoria ke francise dwip me 16 prakritiwadiyo ke ek samuh dwara ki gai hypocropsis amplectense fangus jise t tree fingers ya jombi fingers ke rup me bhi jana jata hai yah akser Australia me kam ghane jungalo me paya jata hai jaha aag aur manav atkramad ke karan vilupt ho gaya francise dwip per iski khoj se pahle yah mana jata tha ki do aur sthano western port be ke purvi tat aur launching place per maujud tha mukhya prakritiwadi dr.micle amor ne kaha ki fungus ki yah ekmatra asi abadi hai jo sanrakshit rastriya udyan royal batainikal garden victoria ke bhitar payi jati hai dr.amor ne apne bayan me kaha aise fungus ke liye char mukhya bhumi sthalo me se teen ka bhavisya anischit hai kyonki ve ret ki khadano se sate huye hai global fungus list ke anusar yah anuman lagaya gaya hai ki ti tree fingers ki abadi 50 se 400 ke bich hai lekin yah lagbhag 200 se adhik ho sakte hai ICUN ne kaha ise dharti per kewal saat sthalo per dekha gaya hai jinme se kuch ab ise nahi paya ja sakta

शुक्रवार, 9 जुलाई 2021

एक ही पेड़ पर 121 पर प्रकार के आम

utter pradesh ke saharanpur jile me ek 15 saal purane aam ke ek ped per 121 prakar ke phal ugane ke baad yaha akarshad ka kendra ban gaya | jile ke company bagg chhetra me ugane wala yah anokha ped bagwano dwara 5 saal pahle ekprayog kiya gaya tha | jiske utpad ka uddesya aam ki nayi kisme vikshit karna aur unke swad ke sath prayog karna hai saharanpur sthit bagwani aur adhyayan kendra ke sah nirdeshak bhanu prakash ram ne kaha prayog ka uddesya naye prakar ke aamo ki samiksha karna tha saharanpur pahle se hi aamka no.1 utpadak hai | is fruit belt aam ki bagwani vyapak rupe se humesha ki jati rahi hai isi vajah se yaha naye prakar ke aamo per shodh hua hai | bagwani ka prayog evam prashikshan kendra ke tatkalin sanyukt nirdeshak rajesh prashad ne ek ek aam ke pedh per aam ki 121 kisme lagai | ek sthaniya adhikari ne kaha swadehi aam ke ped ki shakhayao per aam ki vibhinn kismo ko lagaya gaya ped ki dekhbhal ke liye alag se nursuri prabhari niyukt kiya gaya tha ab is ped per ,dusuhari ,langda ,chausa, ramkela, amrapali, saharanpr arun sahit vibhinn prakar ke aam paye jate hai | inke alawa is ped per lukhnow safedi ,tomy at kings ,pusa surya , sensation, rataul , kalmi malda mango , bambay ,smith ,mangifera jaloniya, gola bulandsaher, laranku, l r special, alampur benisha aur asojiya devband sahit aam ki anya kisme bhi ug rahi hai | shodh kartao ka kahna hai nayi prajatiya per kaam jari hai taki aam ki behtar kismo ka utpadan kiya ja sake

बुधवार, 7 जुलाई 2021

फिट रहने के लिए 34% प्रति शत भारतीय इस्तेमाल कर रहे एप

korona ke badhte sankramad ke bich log fit rahne aur imunity badhane ke liye fitness aap ki madad le rahe hai | yani smartphone hi unka personal fitness trainer ban gaya hai | inme sabse jyada 34 %indian hai jab ki britain dusre aur america 4 number per hai digital market autlook ke mutabik duniya me fitness app ka market 30 hazaar crore rs. ke paar ja chuka hai isme salana 9% se jyada growth ka anuman hai agle saal me yani 2024 tak iske karib 40 hazaar crore rs.tak pahuchane ka anuman hai

मंगलवार, 6 जुलाई 2021

घनी दाढ़ी से परेशान महिला

 Jin Robinson ki age 35 hai wo America ke Florida ek financial enalist ke taur pe kaam karti hai jab vah 20 saal ki thi tab unhe pahli baar pata chala ki unki body me hormon asantulan hai | 

Iski vajah se se muh me ghane kale baal nikalne lage Jin ne bataya ki baal sirf unke chehre per hi nhi balki sine aur body ke anya ango per bhi nikalte hai | 


Isse vo bahut pareshan thi Jin Ko { polycytics ovary syndrome ) bhi hai jiski vaja se unko dadhi ati hai Jin ne bataya ki body per asamanya rup se baal niakalne ki vajah se ab vah jyada pareshan nahi hai | ab to unhe khud se pyar ho gaya hai | vah apne follower ke sath balo ko hatane ke naye aur asan tarike share karti hai | aur social media ke madhyam se paise kamati hai mahila ne kaha ki pahle vo apne baalo ko chhipane ki koshis karti thi . Har din shave karti thi vah dosto ke sath party ya beach per jana bhi pasand nahi karti thi | unhe khud ko dekhkar bahut dukh hota tha .Jin ne bataya ki muh per dadhi nikalne ki vajah se unka abhi tak koi boyfriend nhi bana hai | unke sath kam log hi dosti karte hai 




कमरे में कुत्ते का भूत


Kamre me kutte ka bhoot - ek couple ka kahna ki unhone kuch din pahle ek kutte ke bhoot ke sath apna bed share kiya jo unke pairo per baith ta tha aur unke sath television dekhta tha | Southport ke micle li ka dawa hai ki iski suruat bister per pairo ke nisan se hui thi aur unki paltu billi maggi ki tarah vah bhutiya kutta bhi pairo ko cross karke letna pasand karta tha | halanki usne koi nuksan nahi kiya | micle li Liverpool iko ko bataya , subah lagbhat panch baje mujhe laga humari paltu billi ko bhukh lagne per hume bister per jagane ke liye ai ,lekin billi to kahi dikhai nhi de rahi rahi thi us jagah per pairo ke nisan the jo dhire dhire bister per aa rahe the phir us kutte ka bhoot mere pair per let gaya | micle ne age bataya ki vah bhutiya kutta cross leg ke sath bister per baith gaya | mere pass bister per ek clafi kambal hai, yah puri tarah se sapat hai phir jab yah kutta aya to us bister me gahrai ban gai jaha vah leta hua tha | vah bahut bhari tha, billi se bhi jyada bhari | infrared kamre me kad karne ki koshis ki micle ke pass ek infrared kamra hai jis vah apne phone per dekh sakta hai aur isme do tarah ka microphone hai | phir dusre din usne yah dekhne ki koshis ki kya vah kutte ka bhoot ko kamre me kaid kar sakta hai | 



पिरामिड की तरह दिखने वाली दुनिया की विचित्र गोभी

duniya ki vichitra gobhi per scientist ne nayi research ki ha yah gobhi itni vichitra kyo dikhti hai vaigyaniko ne iski vajah batai hai ise ...